Khud ki jaan ko jaan maanta hai,
Parivaar ko tu bharmaad maanta hai!
Bacche khud k tere ko pyaare lgte hai,
Dosto ko tu apni shaan maanta hai!
Haan tu maanav kehlata hai!
kutte billi tu paalta hai,
agr chot lgey unke toh tu bhi kaampta hai!
Jaan inn sb ki khud se anmol lgti hai,
Dil ka tukda jo inko maanta hai!
Tu hi toh maanav kehlata hai!
Pr jb tu pagal ho jata hai,
Prem bhaav smj nhi pata hai,
Jb Jaanvar tujhe tere dusman lgte hai,
Unke aansuo ko sirf tu paani maanta hai,
Jb unki bhook ka tu mjaak udata hai,
Mauj masti mein unko maarta hai, Bomb se udata hai,
Haan tu fir bs daanav kehlata hai!
A kalki kb lega tu avtaar
Inn daanvo se bacha le mera sansaar


