Bhagwan k liye ldta hai tu
Bta kb usne teri jaan bachaai
Har marj k liye tujhe
Sirf Doctor ki hi yaad kyu aai!
Iss Dharti pe tujhe bhgwan na milega
Kitta bhi tu mandir ja
Ja tu ek baar aspataal
Tujhe doctor roopi bhgwan dikhega!
Kr sharm paida thodi apne bheetar
Kis kis ki tu sunta hai
Agr doctor ne na suni teri
Toh ulti ginti kyu ginta hai!
Ja tu masjid, ya girjaghar ya tu krne jamaat
Maar patthar bhgwaan pr ja sudhaar le yeh halaat!
Tuney kuch kyu na chhoda
Doctor ko krne badnaam
Aaja aaj tu hi pehel kr
Aur bacha le yeh bharmaand!
Yu toh patthar se sar tuney foda
Aur lagi chot tere bhi
Aage bhi aaj tu hi aa
Sab bhai behen hai tere hi!
Kb tk sunta rahega tu inn besharm nikammo ko
Inka maksad kuch nhi bs aag lagaate apno ko!
Tu puch khud k zameer se kya mila inn sab k baad
Agr doctor ne na haath lgaya
Toh Khud hi tarasega hone ko aabaad!
Ya fir tu fir eet utha aur fir fod de sar doctor ka
Patti lga k kaam krengey
Yeh dard mitaate apno ka!
Agr doctor ki izzat na ho toh
Mt kr unhe badnaam
Pr kuch kaam kr esa jisse ho tera bhi naam!

