Meri bandhi julfein, ye shaam aur meri adrak wali chaay aapas me baatein kiya karti hein,
Kya khoya kya paya is hisaab mein uljha karti hein,
Mein bade pyar se julfo ko sambhal ke, honthon se chaay lagake inhe samjhati hu...
Ki jo hua wo acha tha,
sbka apna kissa tha
Zindagi hai aasani se thodi naa chala karti he
Fir ..fir kyaa..
Ye shaam , ye chay aur ye zulfein fir mujh par naaz kiya karti hein
bahut aage nikal aayi hu ye mujhse kaha karti hein...!!!!
