ek waada jo umr bhar nibhaya na gaya..
ek chehra jo umr bhar bhulaya na gaya..

likhta raha sada bas ek he naam ko,
jo naam kabhi pukara na gaya..

sirf vo he hai jo khwaish hai meri,
baaki khwab ko sirf jalaya gaya..

mai aage bad toh aaya ishq se magar,
usko yaadon se kabhi nikala na gaya

-anas