Vo fir raat se subah bhi toh hona hai,
Mujhe tumhare baad kisi aur ka bhi toh hona hai..'s image
104K

Vo fir raat se subah bhi toh hona hai, Mujhe tumhare baad kisi aur ka bhi toh hona hai..

Ab khali tumhari yaado se baate hoti hai,
Tumhari tasveer ko dekh kar bas ek he fariyaad hoti, hai..

Khush rehna laazmi hai tumhara,
Meri khuda se bas yahi baat hoti hai.. 

Khali kitabo ko bhi aakhir kitna padu ?
intezar mai bhi aakhir kitna jalu ? 

Jazbaat mai dekho jalna padta hai,
Ishq hai toh fir ek tarfa bhi karna padta hai.. 

Maine sikha hai tum se,
Zindagi mai tanha he aage badna padta hai.. 

Tumhari aawaz goonjti hai,
mere kamre ke har ek kone mai,
Jaise aansuo se ek sauda karna padta hai.. 
Read More! Earn More! Learn More!