Dhundhta hu har shaqs mai usko,
Jo mujhe kabhi mila nahi..
Uski mohabbat ka ehsaas,
Jo uske siwa kisi se hoa nahi..
Muqaddar ke amir kisi insaan ko mila hai vo,
Jisney meri tarah usse kabhi chaha bhi nahi..
Yaado se guzara kar toh lu magar,
Uske khwabo se nikalne ka raasta mujhe mila nahi..
Guzaar lega vo apni zindagi khushi khushi kisi aur ke sath,
Mera gham hai jo mujhe uske siwa kisi aur ka hone deta nahi..
Kisi kaanch ki tarah tha rishta uska,
Toota toh fir kabhi juda nahi..
Haqikat ye hai ki vo rahega sada kisi aur ka,
Shikayat ye hai ki Mujhe meri mohabbat ka mukaam kabhi mila nahi..
-anas

