Ek khalipan jo dil mai hamesha raha,

Mai tumhare baad kabhi pahla sa na raha..


Ladta raha haalato se umr bhar,
Mai fir kabhi tufan mai pahla sa datta na raha..

Kitabo mai dhoondhta raha vo naam jo kabhi mere dil mai tha,
Mai musafir rasto ka ishq mai muqaam dhoondhta raha..

Raha kuch bhi nahi mere paas,
Rahi sirf tasveer !
Mai ek tasveer ko ta umr dekhta raha..

Mai tumhare baad bhi tumko dhoondhta raha,
Ek khalipan mujh mai hamesha raha...

-anas