Ek sawaal tha manme, bas yu hi puch raha hu.... Yun faaltu me murdo ki tarah kyu jee raha hu... Ek raasta hai lamba bas chale jaa raha hu... Koi manjil nahi hai bas chale jaa raha hu... Lakho karodo hai gumnam mai bhi unhi me ek hu.... kabse bina pehcaan ke bas jiye jaa raha hu.... Ek sawal tha...... Ek bhedchal hai jiske beech me hu mai... Bina soche bina samjhe bas chale jaa raha hu.. Koi khauff nahi hai ab koi josh nahi hai..... Neeras hokar ek viklang sa bas jiye jaa rha hu... Ek sawal tha.. Shayad apni jindgi ko ek dayre me samet liya hai... Aur apne sapno aur icchayo ka gala ghot diya hai... Ek karz li ho jaise maine zindgi khud se.... Din b din thodi thodi bas jiye jaa raha hu... Ek sawal tha...