log to bhut hai,
par unme insaniyat kam hai,
Mere shehar ke logon mai dil bhi hai,
par unme jahah kam hai....
Mere shehar ki sadkon par unchi imartain to bhut hai,
phir bhi kuch besahare gareeb ke liye chat kam hai.....
mere shehar mai rang birange libaas bhut hai,
phir bhi jo kuch nangi zindagiyon ko dhakne ke liye kam hai....
mere shehar mai bhookh bhut hai,
par rotiyan kam hai..
mere shehar mai jhooth,fareb aur makkari bhut hai,
par mohabbat aur humdardi kam hai..
mere shehar mai khuda ke ghar to bhut hai.....
par yaar "amir"uss khuda ki khudayi kam hai....