Roz guzra karte hain unki galiyon 

se hum bhi, 

Roz takne khade hojate hain hume apne makan ke bahar wo bhi,

Dil mein liye ghumte hain kai mohabbat-ae-alfaz wo bhi, 

Aur jazbaton mein rakhte hain kai suhane khayalat unke hum bhi,

Lekin mohabbat ka bayan apni zuban 

se karte nahi kabhi wo bhi,

Magar unki mohabbat-ae-izhar ka karte

hain intezar shab-o-sahar hum bhi.


~Alina Nasir