Beti daai aankh ka tara hai to beta baai aankh ka tara hai
Kahi betiyon ko badhawa diya jata hai
To kahi bete ko age rakha jata hai
Are ye kyon nahi samjhte tum ki beta aur beti dono ek samaan hain,
Beti daai aankh ka tara hai to
Beta bhi baai aankh ka tara hai,
Beta kama kar lata hai to
Beti bhi ghar sahi dhang se sambhalti hai,
Beti maa baap ki seva karti hai to
Beta bhi parivar ki zarurton ka khayal rakhta hai,
Beta maan hai to
Beti bhi abhimaan hai,
Beta vansh age badhata hai to
Beti hi us vansh ko janam deti hai,
Beti aur Bete ko ek samaan rakho
Beton ko har baat har chiz ki chhut di
jati hai to
Betiyon ke sapne ko bhi aage badhne do,
Dono tumhare hi bagiche ke to anmool phool hain ye baat tum kabhi na bhuloDono.


