tere karam ache to mai ram tere karam bure to mai ravan tu dhundhe mujhe kabhi kabba mai to kabhi kailash mai mai to hun un lash0 mai samayi jahan tune shwet karmo ki jhalak dikhlayi na dharnaoo mai sadhanaao mai mai to hun tere majboot iraadoon mai tere karam ache to mai raam tere karam bure to mai ravan na mujhe mandiro ki hod na mujhe masjido ki hod mujhe to bas un karmo ki hod jo bandhe mujhe teri ore na pad geeta na pad quran lekin pad kabhi khudko na milega tujhe insaan tere karam ache to mai raam tere karam bure to mai ravan