Maa ki seerat itni pyari.
Jivan apna jala kr jindgi meri sawari.
Rah sakta nahi upar wala sath sabhi ke.
Isiliye usne dharti pr maa utaari.
Dukh sahti hai sare wo.
Bachhon ko dekh muskati.
Jivan apna jala kr jindgi meri sawari.
Meri har galti ko wo saware.
Jivan mera banane ko.
Wo apna dukh bhulade.
Mujhe insaan banane ko.
Maa ki seerat itni pyari.
Jivan apna jala kar jindgi meri sawari.
Rah sakta nahi upar wala sath sabhi ke.
Isiliye usne dharti pr maa utaari.
Maa jo budhi ho jaati hai.
Jhuriyon main sapne kho deti hai.
Sari umar sahti wo dukh.
Kabhi pitaa ki, kabhi pati ki to
Kabhi bachhon ki kahti wo.
Jivan apna jala diya.
Sapne sare bhula diye.
Pihar or sasural ke darmiyan.
Sabki sunti rahti wo.
Khud bhukhi rah kr.
Bhukh meri mitati wo.
Maa ki seerat itini pyari.
Jivan apna jala kr jindgi meri sawari.
Rah sakta nahi upar wala sath sabhi ke .
Isiliye usne dharti pr maa utaari.
Umar nikalne pr bhi.
Achchai ka apath padhati wo.
Jo galti main koi karta.
Pyar se do hath lagati wo.
Fir mujhe samjhati wo.
Na kariyo aisa koi kaam.
Jhuk jaye teri maa ka naam.
Tu hai mere jivan ki mahnat.
Mahnat meri na ho jaye badnam.
Rakhiyo tu maa ka samman.
Safalta kare tujhe pranam.
Maa ki seerat itni pyari.
Jivan apna jala kr jindgi meri sawari.
Rah sakta nahi upar wala sath sabhi ke .
Isiliye usne dharti pr maa utaari.