Beti hoti hai devi ki murat Deti hai sukhh wo har surat. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge. Karoge kya is sansar main. Jo tum MAA, BAHAN, BETI na paoge. Baat yai kisse kahoge. Beti hoti hai devi ki murat Deti hai sukhh wo har surat. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge. Jo beta hua to khush tum hojaoge Beti hone pr tum devi ki muskan paoge. Beti degi sath tumhara. Jalegi khud roshan karegi sansar tumhara. Na karo khatam tum betiyon ko yahi to hai wajood tumhara. Jo wajood tum mitaoge Khud jinda kaise rah paoge. Beti ki hai preet yahi Jo tum apnaoge. Such samridhi paoge. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge. Khushiyon ka hai yahi thikana Beti tum fir babul ghar anaa. Khushiyan failaogi Aangan mahkaogi. Ek bar jo tum aaogi Jivan safal kr jaogi. har babul ki yahi hai aass Beti padhane ka karen prayass. Beti hoti hai devi ki murat Deti hai sukhh wo har surat. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge. Beti tum bachaoge to sukh samridhi paoge. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge. Karoge kya is sansar main. Jo tum MAA, BAHAN, BETI na paoge. Beti hoti hai devi ki murat Deti hai sukhh wo har surat. Jo beti na bachaoge Akele rah jaoge.