Jaan e ghazal baam pe aana bhul gayi hai Wo na-umri shokh zamaana bhul gayi hai Ab bhi hai muntazir raah guzar pe koi Is raah se ab wo jaana bhul gayi hai Bahut hi khali lagta hai pehlu mera Shayad apna koi thikana bhul gayi hai Laila majnu ka qissa bhi khoob hai lekin Dastano me apna fasana bhul gayi hai Kahin jane ke zikr pe bhi barham hona Jazbon ka wo ek khazana bhul gayi hai