Kaaru ganj khajana joda
Aakhir sab kuch chhod gaya
Mulk-giri ki hawas hui na poori
Sikandar bhi dam tod gaya
Gaye dono haath khali jahaan se
Saath nahi kuch le gaye
Hasrat kisi ki hui na poori
Sabko yahi keh gaye
Mat karna bharosa is duniya par
Ye saath na kisi ke jayegi
Ek maalik ki bhakti keval
Jo ant me saath nibhayegi.
