Fire darakht har Roz wo, daal shakh har paat

Kah paata fir bhi nhi, Apne Mann ki baat. 

 

Kai mile pardesh me, koi na mere paas,

Saath wahi tha aaj bhi, jiska Mann me vaas.

 

Subah shham se badalte, logo k man khwab,

Rang kahaa jinko Kabhi, ab lagte hain daag.

 

Anjaane pardesh me, Sabne thame haath,

Laauta apne shahar, sab, puche Kya hai jaat.

 

Kya Hindu Kya muslman, sab hai ek saman,

Deh Ka Pahla dharm hai, bann Pana insaan.

 

Topi Tilak ke khel me, kho beta hai sukoon,

La adlaa badli kare, Shayad badle khoon?

 

Bichde mil 2 k Kai, Kuch marhm Kuch ghaw,Duniaa bas vyaapar hai, sabka hai ek bhaav.

 

Rain basera Zindagi, khooni Mahal sajaye,Kya tujhko aabhash, sab khaali haath jaaye.

 

Ghar Chhuta, sang raha, mutthibhar kuch Ret,Par yadon me aaj bhi, hare bhare wo khet.

 

Jeewan ki gati gujrati, hain mol bhaw ke fer, Swaas ruki,chola Chhuta,  raha mitti Ka dher.