·Man to karta hai hai,uske jane k gum me lakh asu ro jau me
Uske jagah kyu na, zindagi k 2 lamhe ji jau me
Man to karta hai hai,sabse nata thod kar apne ap me hi simat jau me
Uske jagah kyu na ,thoda aur acha ensan ban kar kisi k dil me bas jau me
Man to karta hai hai,wakt me piche jakar uske tarf age bad jau me
Uske jagah kyu na me kisi k dukh me uske sath khada ho jau me
Man to karta hai hai,gusse se asman aur zamen chier jau me
Uske jagah kyu na kam karke kahi bada nam kar jau me
Man to karta hai hai espar puri kitab likh jau me
Uske jagah kyu na kuch panktio me apne dil k bat kha jau me
Man to karta hai hai ek aur bar usko pyar ka eshar kar jau me
Uske jagah kyu na apne ap se pyar kar jau me.


