Aisa hai ki ab mann nahi karta...

subah uthne ka, raat mey sone ka ab mann nahi karta hai.. 

roj kuch naya karne ka mann karta hai, per aaj kaam karne ka mann nahi karta hai..

khud ki talaash mey hum itna kho gaye hai... ki ab ager mil jaaye toh milne ka mann nhi karta...

koi ager maan jayege bura humari baato ka...toh maan jaye bura ab manane ka mann nahi karta hai...

jayenge hum bahar jab jaana hoga...magar ghar se jaane ka ab mann nahi karta hai...

baate bahot hai mann mey humare... per kisiko batane ka ab mann nahi karta hai...

dost toh humare bahot hai per kisise baat karne ka ab mann nahi karta hai...

acha suno..,,, choro, jaane do, ab bolne ka mann nahi karta..